wah g wah ramzan aya nahi par yeh topic parh k lagta hai a gaya hai,recipe parh parh k hi ramzan k maze a gay hain lolz.
butter cup,eeya smiling kute girl bht maze ki recipe share ki hai,
zashah waqai yougrt k sath pakaron wala idea new hai,try karon gi aur waqai ajwain,kalwanji sonf tu wase hi stomach kliya help ful hai.aur aise khano ma use karni chiyeh jo k heavy hon ya feel hote hon like oiling things,
hina welcome back ap bhi kuch share karo,
aur bajoo ap jo bhi iftari ma banati hon share karain no masla,aftari tu kisi bhi cheez se ho sakti hai chahe wo just khajoor hi kyun na ho.
mari aftari ma kya hota hai?jo roz hota hai on ma se kajoor, doh rofaza or badam ka doh, aur pakore yeh teen cheezain roz hoti hain baki chana chat kabhi kabhi fruit chat kabhi dahi bhale.kabhi just kajor se roza khol k namaz k baad khana khate hain last year tu koi na koi aik dish bana li aur masjid chale jate thay.is bar dakhain kya karte hain.