mah_jb786@yahoo.com wrote:please zara help me aur is ke liye koi dua bata de
mah -jb! aap preshan bilkul na hon insha'Allah aap sachay dill se Allah se dua mangtay rahain, kiounkey
Hazrat ali (karam allh wajh'o alaih) ka ferman hai.......................
Hamesha dua magtey raho k mumkin aur namumkin to sirf hamarey soch hai. Allah k liye to kuch bhi namumkin nahin."
aap her roz fajer ki namaz main, do raka't sunnat parh k awal aakhir 11 bar "darood shareef" ke sath 41 mertabah " surah fatiha " (alhamdo shareef) parhain . aur phir sajday main ja ke dua mangain!
Insha'allah ager allah ko aap ki behtari manzoor huwi to aap ki dua zaroor qabool ho gi!
dua mang ke nateeja allah pe chor dain ,aur her namaz ke baad "YA LATEEF O" 129 bar parha karain
main aap ke liay sadq e dil se dua karoon gi ! Inshaallah aap ke haq main acha hi ho ga!